How To Apply For PAN Card To NSDL Website - AADHAR CARD

Latest

Wednesday, June 24, 2020

How To Apply For PAN Card To NSDL Website



Pan Card ek 10-Digit ka alphanumeric identity Proof hota hai. joki Income Tax Department ke Dwara jari kiya jata hai jiski jarurat hame apne financial kamo ke liye Lagana padta hai



Permanent Account Number (PAN) card ek bhut hi Important Document hota hai jisko hum Kisi Bank me Saving Account open karne liye dena hota hai and aur bhi bhut se jagaho par iski jarurat padta hai.


Pan Card koi bhi banwa sakta hai isme koi age ki limit nhi hai aur agar ap bhar se aaye huye hai to ap bhi banwa sakte hai PAN card banwane ke liye hame kuch document ki jarurat padti hai jisme Aadhaar card hona bhut jaruri hai 

India me  PAN card Banane wali do badi Company hai jisme (NSDL) aur (UTI) hai apko jisse se bhi aashani ho ap usse apply kar sakte hai Dono hi company se apko PAN card banke apke address par bhej diya jata hai 

Aaiye Jante hai ki (NSDL) se hum PAN card Kaise Apply kar sakte hai:


NSDL se PAN card Banwane ke liye apke ye pas ye Document hone bhut jaruri hai bina in documents ke PAN card apply nhi kar sakte hai jisme apko ek Proof ofIdentity, Proof of Address aur Proof of Birth Dena hoga tabhi ap apna PAN card banwa sakte hai 

Proof of Identity Documents List :-

  • Voter’s ID card
  • Passport
  • Aadhar card
  • Ration card having Applicant’s photo
  • Driving License
  • Photo ID card which are issued by central government, state government or any undertaking of public sector​
  • A certificate issued by a bank that should be duly attested, containing applicant’s photo and the bank a/c number
  • Arm’s license
  • Central government health scheme card
  • Pensioner card copy with applicant’s photograph

Note:

In case agar koi Miner hai to usko apne parents ka aadhar card bhi lagana jaruri hai 
In case Parents Ke Documents na ho to apko ek legal Affidavit Banwana hoga jisme apka name apke parents ka nam aur pura pata hona chaiye

Proof of Address Documents List :-

  • Electricity Bills
  • Landline connection Bills
  • Bills for Broadband connection
  • Voter ID card containing photograph
  • Aadhaar card
  • Passport
  • Passport of spouse
  • Statements of Bank Account
  • Statements of Credit Card
  • Passbook of Post office account containing applicant’s address
  • Latest order for property tax assessment
  • Domicile certificate allotted by government
  • Driving license
  • Allotment letter of accommodation issued by Central or State Government of not more than three years old
  • Property Registration Documents

Note:

Dyan rahe ki ap do bhi Electricity bill ya bank/Credit card ka Statement laga rahe ho wah nay hone chaiye 3 month se purana nhi hona chaiye 


Proof of Birth Document List :-

  • Birth certificate issued by any office that is certified for issuing Birth as well as Death Certificate, like Municipal Authority
  • Birth Certificate issued by Indian Consulate
  • Matriculation certificate from a recognized board
  • Aadhaar Card
  • Driving license
  • Passport
  • Certificate of Marriage issued from Marriage Registrar’s Office
  • Pension payment order
  • Domicile certificate issued by Government of India or any of the state governments
  • Affidavit stating the DOB which is signed before a magistrate
  • Photo identity card issued by the Central Government or State Government or Central Public Sector Undertaking or State Public Sector Undertaking.

PAN card apply karne se pahle apko kuch baton ka dyan rakhna hoga (Importent Things)


1. Application bharne se pahle apko sabse pahle apna surname (last Name) bharna hoga uske bad First name jaisa ap PAN card par chahate ho apka PAN card par pahle First name aayega phir last name aayega.

2. Yah ek paperless form hota hai jise hum E-KYC aur E-SIGN kahte hai E-kyc ke liye apko apko bas apna aadhar card details dalni hoti hai jisme ap na to apna koi photo aur na hi Signature ya koi Document Upload kar sakte hai ye Automatic apke aadhar se le leta hai aur jab apka PAN card aa jaye to apko uska pen se Signature Karna hoga

3. Dusra Tarike se ap kis tarah se apply kar sakte hai e-sign ke liye apko aadhar card ki deatils to dalni hi hoti hai iske alawa apko yaha par apna ek passport size Photo, Signature (in black ink) aur Supporting Document Upload karne hote hai (PDF Format Only).

4. Agar ap ek minor hai to ap dono me se kisi bhi tarike se apply nhi kar sakte hai apko apna PAN card offline hi banwana padega

5. Apne agar e-kyc ya e-sign ke tarike se apply kiya hai to apke pas aadhar se link mobile number/Email id hona jaruri hai jispar apko OTP aayega.


Step by Step Apply PAN card via NSDL website (e-sign)


1. Sabse Pahle apko NSDL ki Website par jana hoga  CLICK HERE



2. Ab apko yaha par Application Type Select Karna hoga - Form 49A ek new PAN card ke liye hota hai aur Form 49AA Foreign ke liye hota hai

3. Uske bad apko category Select karni hogi ' Individual'

4. Applicant Information me apko Title, Last name, First Name, Middle Name dalna hoga surname dalna jaruri hai agar apak name raju hai to apko surname me hi dalna hoga uske bad apko apni Date of Birth bharni hogi, Email Id, Mobile Number dalke Captcha Code Bharke Submit kar de.

5. Submit Button par click karne ke bad apko ek token number generate ho jayega jo ki apko kisi note par likh lena hoga and uske bad apko ' Continue with PAN Application From' par click karna hoga.


6. Ab apke Samne ek naya page khulega jaha par apko 3 option dekhenge ap kis tarike se apply karna chahate hai (1) e-KYC (Paperless) (2) e-Sign (Photo and Signature) (3) Physically Forward Documents. apko yaha par dusra wala option select karna hoga (e-sign)



7. Yaha par apko apna Aadhar card Number, Apna Name, Parent Name Dalna Hoga. yaha par option milta hai ki ap apne Father ka nam chahte hai ya Mother ka PAN card par ap apne mutabik bhar sakte hai.






8. Yah sab bharne ke bad apko Next par Click karna hoga uske bad new page aayega jaha par apse additional personal details puchi jayengi jaise ki Source of Income, Address, Contact Details,







9. After ye sab bhar ke apko Next par click karna hoga. uske bad apko apne area ka code dalna hoga jise ap niche apne state aur district se select kar sakte hai.



10. Aur ab last me apko apna Documents Select karna  hoga aur yaha par apko Photo, Signature aur Supporting Document Upload karna hoga jaise inki required hogi us hisab se apko upload karna hoga otherwise upload nhi hoga




11. NSDL ke hisab se apko ab Rs. 107 ki payment karni hogi jise ap Net banking ya Debit/Credit card se kar sakte hai. ek bar payment Success hone ke bad apko apne Dashboard par wapas aa jana hoga.

12. Payment hone ke bad ab apko apna aadhar authentication karna hoga jisse apko apne register number par OTP aayega OTP dalke apko Submit kar dena hoga.

13. Agar apne Aadhar authentication ko pura kar liya hai to ab apko ek acknowledgement number ke sath slip milegi jise apko print kar lena hai ya Download karke rakh sakte hai aur hm agar apko aadhar OTP nhi milta hai ya aadhar authentication nhi ho pata hai to apko NSDL ke Customer Care se bat karni hogi aur apki ki gai payment apko 1 week me return kar di jati hai.


No comments:

Post a Comment

Please do not Any Spam Link in the Comment Box